My love

Tumhe pata tha na... Ki mai tumhare bagair reh na paunga...
Paglo ki tarah raah takoonga tumhari...
Magar laut aao.. Ye keh na paunga
Tumne to yaar chand dino me... Meri duniya ujaad di...
Meri jindgi to kya.. Meri halat bigad di...
Til til mai tumhari yaad me tadapta raha har waqt...
Bas abhi abhi to banjar hui thi meri veeran basti...
Ek deewar na khadi hui... Tumne fir se ujaad di..
Tumhe pata tha na ki tumhari doori mai seh na paunga...
Tumhe pata tha na ki mai tumhare bagair reh na paunga..

Gunah kya tha mera... Jo tumne muze itni badi saja di...
Wajah nhi thi mere paas ashq bahane ki...
Tumne door jakar.. Muze tootke barasne ki wajah di..
Laut aao ab.. Ki ab aur mai aankhon se beh na paunga...
Tumhe pata tha na... Ki mai ab tumhare bagair reh na paunga.


Kya gujri hai muzpe...
Ye sirf mai janta hu...
Tum kya ho mere liye...
Ye sirf mai janta hu...
Khud ko bhula du.. Magar tumko na bhooloon...
Tum jahan ho mere liye..
Ye sirf mai janta hu...
Tumhe koi fark nhi padta na.. Mere hone na hone se...
Magar tum khuda ho mere liye...
Ye sirf mai jaanta hu....
Tum to jee logi khushhal apni jindgi mere bagair...
Magar tum mere rooh ki intehan ho..
Ye sirf mao janta hu..
Ek pal aur jo juda rahi... To shayad mai mar bhi jaunga...
Tumhe pata tha na ki mai tumhare bagair..
Reh na paunga.
Miss u...
11/01/2018

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Digital life